parinde ghonslon se kah ke ye bahar nikal aae hamein udne diya jae hamare par nikal aae safar mein zindagi ke main zara sa ladkhadaya tha mujhe thokar lagane phir kai patthar nikal aae mohabbat se kisi ne jab safar ki mushkilen puchhin kai kante hamare panw se bahar nikal aae bahut se raaz bhi aaenge aali-jah phir bahar khafa ho kar haweli se agar naukar nikal aae ba-zahir diary ke sare hi auraq sada the kiya jab ghaur in par to kai manzar nikal aae