kab kahan hum ne ki meamar-e-ghazal hum bhi hain han sambhaale hue minar-e-ghazal hum bhi hain 'ghaalib'-o-'mir' shahanshah-e-sukhan hain lekin apne khitte mein zamindar-e-ghazal hum bhi hain hum ne bhi khun-e-jigar de ke sanwara hai ise sahibo ghaza-e-rukhsar-e-ghazal hum bhi hain hum samajhte hain ghazal kaise kahi jati hai waqif-e-azmat-o-mear-e-ghazal hum bhi hain us ke daman pe kai dagh lage hain hum se sach to ye hai ki gunahgar-e-ghazal hum bhi hain hum ko fan aata hai lafzon ki masihai ka aur sabab ye hai ki bimar-e-ghazal hum bhi hain tajiran-e-sukhan-o-sher pe kya tanz karen khitta-e-raunaq-e-bazar-e-ghazal hum bhi hain apna bhi zikr hai arbab-e-sukhan mein 'wasif' ye bahut hai ki parastar-e-ghazal hum bhi hain