parkho tum un ko dur se ya phir qarib se

parkho tum un ko dur se ya phir qarib se
rishte dikhai denge tumhein sab ajib se

apne parae mein bhi koi farq hi nahin
lagte hain sare dost bhi mujh ko raqib se

jis ko bhi dekhiye use sukh ki talash hai
lekin ye shai bhi pata hai insan nasib se

jin ki madad se aaj bahut kaamyab hun
kuchh log mil gae hain mujhe bhi habib se

hum log is pe roz latakte hain bar bar
isa to ek bar hi latka salib se

'dildar' se tamiz sharafat hi mangiye
daulat na mangen aap kisi bhi gharib se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close