kaifiyat batlaun kya taswir ki ek ghazal zinda ho jaise 'mir' ki kaun jaane kab badal dega khuda baat mat karte raho taqdir ki mang kar tum ne duaen kya kiya yar koshish to karo tadbir ki zindagi sadiyon nahin pata koi lakh le koi duaen pir ki taj ko murda imarat mat kaho ishq ne to aarzu tamir ki pyar se duniya yunhi milti rahe kya zarurat tir ki shamshir ki khun se khat likh diya 'dildar' ne aur tarifen huin tahrir ki