parsaon ne bade zarf ka izhaar kiya hum se pi aur hamein ruswa sar-e-bazar kiya dard ki dhup mein sahra ki tarah sath rahe sham aai to lipat kar hamein diwar kiya raat phulon ki numaish mein wo khush-jism se log aap to khwab hue aur hamein bedar kiya kuchh wo aankhon ko lage sang pe sabze ki tarah kuchh sarabon ne hamein tishna-e-didar kiya tum to resham the chatanon ki nigah-dari mein kis hawa ne tumhein pa-basta-e-yalghaar kiya hum bure kya the ki ek sidq ko samjhe the sipar wo bhi achchhe the ki bas yar kaha war kiya sangsari mein to wo hath bhi uttha tha 'ata' jis ne masum kaha jis ne gunahgar kiya