ye zamin hum ko mili bahte hue pani ke sath

ye zamin hum ko mili bahte hue pani ke sath
ek samundar par karna hai isi kashti ke sath

umr yunhi to nahin katti bagulon ki tarah
khak udne ke liye majbur hai aandhi ke sath

jaane kis ummid par hun aabyari mein magan
ek patta bhi nahin sukhi hui tahni ke sath

main abhi tak rizq chunne mein yahan masruf hun
laut jate hain parinde sham ki surkhi ke sath

phenk de bahar ki jaanib apne andar ki ghutan
apni aankhon ko laga de ghar ki har khidki ke sath

jaan ja sakti hai khushbu ke taaqub mein 'nawed'
sanp bhi hota hai aksar raat ki rani ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close