partaw hai tere ruKH ka jo jam-e-sharab mein

partaw hai tere rukh ka jo jam-e-sharab mein
aata hai mahtab nazar aaftab mein

dekhi shikan jo un ki jabin ki itab mein
mistar ke khat dikhai diye aaftab mein

tapka jo tere rukh se pasina sharab mein
mahtab se sitare gire aaftab mein

yan aai maut wan jo chhupa rukh naqab mein
parda raha ki aai qaza bhi hijab mein

wasl-e-khuda hi donon ko apne hisab mein
nakaam mein wahi hai jo hai kaamyab mein

qasid ki jaan pad gai qahr-o-azab mein
kya jaane kya likha tha unhen iztirab mein

gauhar sadaf mein mahr-e-mubin hai sahab mein
shisha mein hai pari ki tarah rukh naqab mein

hushyar bagh-e-dahr mein koi nahin raha
sabza bhi so raha hai pada mast khwab mein

ye bad-gumaniyan ki abhi kuchh kaha nahin
baithe hain wo gadhe hue fiqre jawab mein

khairaat hi pila de koi jam saqiya
der is qadar na chahiye kar-e-sawab mein

dil mein lagi hai aag inayat se ishq ki
allah yun kisi ko na dale azab mein

pita hun main jo saqi-e-eesa-nafas baghair
pata hun saf maut ki talkhi sharab mein

mahshar mein honge hum sabab-e-bakhshish-e-jahan
hoga tamam hashr hamare hisab mein

khalwat mein mat bulaiye 'talib' hai be-qarar
pesh aae kuchh na aur kahin iztirab mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close