partaw pada jo aariz-e-gulgun-e-yar ka utha tanur-e-lala se tufan bahaar ka ham-chashm lala hai jo dil-e-dagh-dar ka nargis ko hum sa aariza hai intizar ka likhta hai wasf shoala-e-rukhsar-e-yar ka ja-e-waraq ho hath mein patta chinar ka bimar-e-ishq hun lab-o-dandan-e-yar ka nuskhe mein mere chahiye sharbat anar ka rishte ki tarah se dur-e-dandan ka tere zar sakin hai kucha-e-guhar-e-ab-dar ka aasar-e-ishq-e-khak se bhi apne hain ayan be-wajh rang zard nahin hai ghubar ka har zarra apni khak ka hai chashm-e-intizar yarab idhar bhi ho guzar us shahsawar ka hum aasiyon ko baad-e-fana bhi ye khauf hai takhta ulat na jae zamin-e-mazar ka kaliyan talak na nikli thin jab se asir hun dekha maza na kuchh chaman-e-rozgar ka chashman-e-yar karne lagin hain dilon ko said in aahuon ko shauq hua hai shikar ka wo dil-jale hain shoala-e-jawwala ban gaya uttha jo gard-e-baad hamare ghubar ka yaad-e-mizha ne bagh-e-dil-e-dagh-dar mein khatka laga diya khalish-e-nok-e-khar ka kushta hun ek tark ke tir-e-nigah ka andaz-e-murgh dil mein hai zakhmi shikar ka rakht-e-safed surat-e-mina-e-mai hai surkh kya rang phut nikla hai andam-e-yar ka phulon ki ja pyala ho labrez phul se tija hai mai-kasho 'qalaq'-e-baada-khwar ka