parwa nahin us ko aur mue hum kyun aise pe mubtala hue hum go pise hi dale jun hina wo par chhoden na panw bin chhue hum mizhgan-e-daraaz us ki kar yaad sine pe gadote hain sue hum rone se makan-e-khana bole bas lakh jagah se ab chue hum ek bazi-e-ishq se hain aari khele hain wagarna sab jue hum khuban ko bin us ke dekhen kya khak mati ke samajhte hain thue hum dam aankhon mein aa raha hai, lo jaan jald aao wagarna ab mue hum uth jaane se us ke 'jurat' ai wae malum nahin ki kya hue hum