nala-e-mauzun se misra aah ka chaspan hua zor ye pur-dard apna matla-e-diwan hua jis ne dekha aa ke ye aaina-khana dahr ka fil-haqiqat bas wo apna aap hi hairan hua sab pe zahir ho gai betabi-e-dil shakl-e-barq wo bhabhuka apni nazron se jo tuk pinhan hua us ke jaane se ye dil mein aae hai rah rah ke hae sab jahan basta hai ek apna hi ghar viran hua kash dil se chashm tak aane na pata tifl-e-ashk rafta rafta ab to ye ladka koi tufan hua gar hue wa us ke lab to dekhiye kya gul khile ho khafa jab be-tarah wo raunaq-e-bustan hua aae jo marqad pe mere so mukaddar ho gae khak ho kar bhi ghubar-e-khatir-e-yaran hua roz-o-shab rahne lage is ghar mein ye kafir sanam kaba-e-dil saf apna ab to kufristan hua josh-e-wahshat dekhiyo koi ki har ek khar ke dhajjiyan ho kar gale ka haar ye daman hua ashk-e-rangin ne jo apne kar diya yan farsh-e-gul rashk-e-sad-gulshan hamein ye gosha-e-zindan hua bandh gaya tera tasawwur jis ki aankhon ke huzur us ko bas aalam visal-o-hijr ka yaksan hua yak-ba-yak tu ne ye kaisa rang badla ai falak teri gardish se kahin kya sakht ji halkan hua kal talak jo ghar ghar apna tha so us ke dar pe aaj nila pila dekh kar kya kya hamein darban hua garche har qalib mein 'jurat' suraten dhalti rahin par bana jo dard ka putla wo hi insan hua