pas-e-namus-e-tamanna har ek aazar mein tha

pas-e-namus-e-tamanna har ek aazar mein tha
nashsha-e-nighat-e-gul bhi khalish-e-khar mein tha

kis se kahiye ki zamane ko garan guzra hai
wo fasana ki meri hasrat-e-guftar mein tha

dil ki aata hi nahin tark-e-tamanna ki taraf
koi iqrar ka pahlu tere inkar mein tha

kuchh tujhe yaad hai ai chashm-e-zulekha-e-jahan
hum sa yusuf bhi koi misr ke bazar mein tha

zindagi ja na saki sham-o-sahar se aage
sara aalam isi aaina-e-takrar mein tha

umr bhar chashm-e-tamasha ko rahi jis ki talash
'hosh' wo husn-e-gurezan mere ashaar mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close