tum aa gae ho jab se khaTakne lagi hai sham

tum aa gae ho jab se khatakne lagi hai sham
saghar ki tarah roz chhalakne lagi hai sham

shayad kisi ki yaad ka mausam phir aa gaya
pahlu mein dil ki tarah dhadakne lagi hai sham

kuchh tu hi apne khun-e-ramida ki le khabar
palkon pe qatra qatra tapakne lagi hai sham

sahra-e-pur-sukut mein kuchh aahuon ke sath
phir kis ki aarzu mein bhatakne lagi hai sham

kya jaane aaj kyun kisi mazdur ki tarah
suraj ghurub hote hi thakne lagi hai sham

kuchh aur aaina mein sanwarne lage hain wo
jis din se un pe jaan chhidakne lagi hai sham

'dauran' suna hai surat-e-gesu-e-ambarin
imsal phir chaman mein mahakne lagi hai sham


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close