pas-e-nigah koi lau bhadakti rahti hai ye raat mere badan par sarakti rahti hai main aap apne andheron mein baith jata hun phir is ke baad koi shai chamakti rahti hai nadi ne panw chhue the kisi ke us ke baad ye mauj-e-tund faqat sar patakti rahti hai main apne paikar-e-khaki mein hun magar meri ruh kahan kahan meri khatir bhatakti rahti hai darakht-e-dil pe hui thi kabhi wo barish-e-lams ye shakh-e-zakhm har ek pal mahakti rahti hai