sukut-e-arz-o-sama mein khub intishaar dekhun khala mein apni sada ka phaila ghubar dekhun ajab nahin hai ki aa hi jae wo khush-samaat dayar-e-dil se main kyun na us ko pukar dekhun khadi hai diwar aansuon ki mere barabar to kis tarah main teri tamanna ke par dekhun bikharta jata hun jaise tasbih ke hon dane jab us ke aansu qatar-andar-qatar dekhun wo mera isbaat chahta hai so jabr ye hai main apne hone mein us ko be-ikhtiyar dekhun jo ek dam mein tamam ruhon ko khak kar de badan se udta hua ek aisa sharar dekhun bahut dinon se wahan main apna hi muntazir hun to khud ko ek din teri gali se guzar dekhun