pas-e-parda tujhe har bazm mein shamil samajhte hain koi mahfil ho hum us ko teri mahfil samajhte hain bade hoshiyar hain wo jin ko sab ghafil samajhte hain nazar pahchante hain wo mizaj-e-dil samajhte hain wo khud kaamil hain mujh naqis ko jo kaamil samajhte hain wo husn-e-zan se apna hi sa mera dil samajhte hain samajhta hai gunah rindi ko tu ai zahid-e-khud-bin aur aise zohd ko hum kufr mein dakhil samajhte hain samajhta hai ghalat laila ko laila qais diwana nazar wale to laila ko bhi ek mahmil samajhte hain sadi diwana saudai jo chahe so kahe duniya haqiqat-bin magar 'majzub' ko aaqil samajhte hain