pas-e-qafila jo ghubar tha koi us mein naqa-sawar tha abhi gard-baad ho ud gaya wo ajab tarah ka ghubar tha main nigah-e-pak se dekhe tha tere husn-e-pak ko us pe bhi mere ji mein khwahish-e-wasl thi mere dil mein bos-o-kanar tha dil-e-khasta pahlu mein rah gaya mere sard ho ke to kya ajab ki kisi ki safi-e-shast ka ye khadang-khurda shikar tha meri be-kasi pe teri nazar na padi jab ai but-e-ishwa-gar wo jo tera ahd-e-shabab tha so wo ain josh-e-bahaar tha main mazar ko bhi mita diya main ghubar ko bhi uda diya ki teri safa-e-mizaj par meri khak se bhi ghubar tha is ada se tir lagawe tha tu ba-ru-e-tuda-e-musht-e-gul ki falak ba-tegh-o-kaman bhi tera mahw-e-kund-o-kadar tha ye junun ki uqda-kushaiyan koi bhulta hun main 'mushafi' ki ba-ru-e-har-sar-e-abla wahi nakhun-e-sar-e-khar tha