udhar us ki nigah ka naz se aa kar palat jaana idhar marna tadapna ghash mein aana dam ulat jaana kahun kya kya main naqshe us ki nagin zulf ke yaro lipatna ud ke aana kat khana phir palat jaana agar milne ki dhun rakhna to is tarkib se milna sarakna dur hatna bhagna aur phir lipat jaana na milne ka irada ho to ye ayyariyan dekho humakna aage badhna pas aana aur hat jaana ye kuchh bahrup-pan dekho ki ban kar shakl dane ki bikharna sabz hona lahlahana phir simat jaana ye yaktai ye yak-rangi tis upar ye qayamat hai na kam hona na badhna aur hazaron ghat mein bat jaana 'nazir' aisa jo chanchal dilruba bahrupiya howe tamasha hai phir aise shokh se saude ka pat jaana