pas-e-sahil tamasha kya hai badh kar dekh lena tha ki pahle phenk kar dariya mein patthar dekh lena tha mukammal jism ek parchhain mein dhal jata hai kaise tumhein khidki se apni ye bhi manzar dekh lena tha zaminon par utarta aasman dekha kabhi tum ne bulate waqt us ko khak ka ghar dekh lena tha khulin aankhen jo baad-az-waqt to ab kya talafi ho safina dekhne walo samundar dekh lena tha charagh-e-taq-e-nisyan se na jalte ho na bujhte ho tumhein ek din hawa se bhi lipat kar dekh lena tha liye ek nafa-e-ahu phire ho dar-ba-dar tum 'ah' tumhein us ka sarapa apne andar dekh lena tha