pas-e-tark-e-ishq bhi umr-bhar taraf-e-mizha pe tari rahi meri kisht-e-jaan bhi ajib hai ki khizan ke sath hari rahi kai bar daur-e-kasad mein gire mehr-o-mah ke dam bhi magar ek qimat-e-jins-e-dil jo khari rahi to khari rahi na wo rasm-e-pardagi-e-wafa na chhupa chhupa sa payam hai na shamim-o-gul se kalam hai na saba ki nama-bari rahi main tahi-nasib sahi magar meri chashm-e-nam ko dua to de teri mang ai shab-e-zindagi sada motiyon se bhari rahi sar-e-dasht-e-tar guzar len kisi taur raat ye umr ki na lagegi aankh agar yun hi hamein fikr-e-shab-basri rahi