is raaz ke baatin tak pahuncha hi nahin koi kyun laut ke ghar apne aaya hi nahin koi ab shahr ki khamoshi virane se milti hai aawaz lagai to bola hi nahin koi har roz dikhai den sab log wahin lekin jab dhundne niklen to milta hi nahin koi hone se ki jin ke tha basti ka bharam qaem atraf mein shahron ke sahra hi nahin koi thak-haar ke aa baithe us ped-tale aakhir jis ped-tale 'farrukh' saya hi nahin koi