pas-e-tauba hadis-e-mutrib-o-paimana kahte hain ye ek bhula hua par aaj hum afsana kahte hain koi khun-e-tamanna ho jhalak aata hai aaankhon mein isi ko ittihad-e-baada-o-paimana kahte hain tabahi dil ki dekhi hai jo hum ne apni aaankhon se ho ab kaisi hi basti hum use virana kahte hain fana hone mein soz-e-shama ki minnat-kashi kaisi jale jo aag mein apni use parwana kahte hain jafa par sabr sikha hai wafa par jaan jati hai yahi hai aur kis ko tohmat-e-mardana kahte hain tumhaari zulf-e-pechan mein raha kyun-kar dil-e-wahshi tuda le jae jo zanjir use diwana kahte hain maaz-allah tera husn teri bazm-e-ishrat mein ye wo mahfil hai jis mein shama ko parwana kahte hain yahan to jaan tak de di 'nazar' padash-e-ulfat mein magar bedad-gar baqi abhi jurmana kahte hain