bikharti tutti shab ka sitara rakh liya main ne mere hisse mein jo aaya khasara rakh liya main ne hisab-e-dostan karte to harf aata talluq par utha rakkha use aur goshwara rakh liya main ne judai to muqaddar thi mujhe ehsas tha lekin kaf-e-ummid par phir bhi sharara rakh liya main ne zara si bund jo raushan hai ab tak khalwat-e-dil mein charagh-e-sham tera istiara rakh liya main ne meri aankhon mein jo sayyal aainon ke tukde hain unhin tukdon pe maqtal ka nazara rakh liya main ne khushi khairaat kar di aur zamane bhar ke ranj o gham mere dil ko hua jitna gawara rakh liya main ne meri dariya-dili ne bhar diya kasa samundar ka badan par ret hathon mein kinara rakh liya main ne