pas-e-wahshat hai to yaad-e-rukh-e-laila bhi na kar ishq ko qaidi-e-zanjir-e-tamanna bhi na kar mauj-e-khuddar agar hai to su-e-ghair na dekh kisi tufan kisi sahil ka bharosa bhi na kar zinat-e-dahr ek aaraish-e-baatil hi sahi nigah-e-shauq ko mahrum-e-tamasha bhi na kar shirk hai shirk ye ai waiz-e-ashufta-khayal gham-e-uqba ko sharik-e-gham-e-duniya bhi na kar kaif-angez nahin baada-e-imroz na ho dil ko hasrat-kash-e-paimana-e-farda bhi na kar mahram-e-raaz-e-mohabbat hai agar dil tera to khuda ke liye is raaz ko ruswa bhi na kar hairat-e-shauq hi ban jae na ghammaz 'rawish' to is andaz se nadan use dekha bhi na kar