roz kahte the kabhi ghair ke ghar dekh liya aaj to aankh se ai rashk-e-qamar dekh liya kaba-e-dil se mili manzil-e-maqsud ki rah yar ka hum ne usi kuche mein ghar dekh liya jaanib-e-ghair ishaara jo hua jaante hain hum ne khud aankh se dekha ki idhar dekh liya kaun sota hai kise hijr mein nind aati hai khwab mein kis ne tumhein ek nazar dekh liya jab kaha main ne nahin koi chalo mere ghar khub raste mein idhar aur udhar dekh liya bole chalne mein nahin uzr mujhe kuchh lekin khauf ye hai kisi mufsid ne agar dekh liya aahon se aag laga denge dil-e-dushman mein chhup ke rahte hain jahan aap ka ghar dekh liya bach gaya naqd-e-dil ab ke to nazar se us ki aaega phir bhi agar chor ne ghar dekh liya