pas-e-yaqin kahin hum bhi tere guman mein hain

pas-e-yaqin kahin hum bhi tere guman mein hain
tera nishan hain ye tare jo aasman mein hain

haram-sara tha tera dil so chhod aae use
wagarna kahne ko ab bhi usi makan mein hain

mere nasib ke khush-rang khwab aur sarab
na is jahan mein the aur na us jahan mein hain

main apne waste in mein se khud hi chun lungi
wo sanehe jo mayassar teri dukan mein hain

sarab hain ye tumhaare sab aaina-khane
basarten bhi na-jaane kis imtihan mein hain

kabhi wo aaina-e-chashm mein sanwarte the
wo sare khwab nisabon ke jo bayan mein hain

na-jaane laenge dil par tabahiyan kya kya
wo hadse jo abhi tak teri kaman mein hain

ye pul-siraat kahan le chala hamein 'anjum'
na hum zamin ke rahe aur na aasman mein hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close