pas-ghubar-e-hawas raat Dhalti rahti hai

pas-ghubar-e-hawas raat dhalti rahti hai
nashe mein chur pighalti machalti rahti hai

khabar yahi hai ki aaghosh-e-hijr mein pahron
tumhaari yaad bhi pahlu badalti rahti hai

ye main ne dekha hai akasr phati purani hayat
sar-e-daricha-e-shab hath malti rahti hai

qafas se hum bhi nikalne ko kab se hain be-tab
magar wo saat-e-akhir jo talti rahti hai

wo rang rang bahaaran hai khulta rahta hai
wo shakh shakh samar-war hai phalti rahti hai

hai ek kar-e-ziyan shahr shahr dar-badari
magar yahi ki tabiat bahalti rahti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close