shikast-e-zarf se khoen na hum bharam apna sharab pi ke na bahke kabhi qadam apna ye jaante hain ki mearaj-e-zindagi kya hai wafa ki rah mein karte hain sar qalam apna hum apne dil ko maqam-e-khuda samajhte hain yahi hai der ab apna yahi haram apna ye bal jabin-e-qaza-o-qadar pe kyun aakhir bana rahe hain muqaddar jo aaj hum apna bahut khulus 'munawar' ke dil mein pata hun ajib shakhs hai ye dost mohtaram apna