pas rahna bhi aur pare rahna hae un ka dare dare rahna zindagi nam khud hai halchal ka hath par hath kyun dhare rahna jo ghazal ko samet leti hai us ada par mare mare rahna ye bhi zinda-dili ka masraf tha sath shahon ke maskhare rahna baat qad-awari ki chalti hai ai 'jamil' aap kuchh pare rahna