aashna koi ba-wafa na mila

aashna koi ba-wafa na mila
kashti-e-dil ka nakhuda na mila

ja-e-marham namak chhidakna tha
zakhm khane ka kuchh maza na mila

us ke kuche mein aise bhule hum
ghar ke jaane ka rasta na mila

dil diya jis ko ranj hai paya
koi dildar ba-wafa na mila

zindagi talkh ho gai apni
tujh se milne ka kuchh maza na mila

dekh li hum ne dosti teri
hum se ab aankh bewafa na mila

kuchh ijara nahin bane na bane
kya shikayat hai dil mila na mila

aasman par dimagh-e-yar raha
kabhi jhuk kar wo mah-laqa na mila

bosa-e-lab ki tum se kya ummid
ek bida bhi pan ka na mila

dhundhti hain kunisht mein ja kar
shaikh kabe mein to khuda na mila

ek ek ko pilae do do jam
dard bhi hum ko saqiya na mila

naqal kab asl ki muqabil hai
us ke chehre se aa bana na mila

nazar aai jo wo dahan to kahun
mujh ko anqa ka aashiyana mila

jin ko takiya tha apni masnad par
un ko dekha ki boriya na mila

'bahr' nikle the dhundhne us ko
aise khoe gae pata na mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close