pas se dekho jugnu aansu dur se dekho tara aansu

pas se dekho jugnu aansu dur se dekho tara aansu
main phulon ki sej pe baitha aadhi raat ka tanha aansu

meri in aankhon ne aksar gham ke donon pahlu dekhe
thahr gaya to patthar aansu bah nikla to dariya aansu

pyar ajab talwar hai jis par hum donon ke nam likhe hain
tahni tahni kaliyan aansu patthar patthar jharna aansu

mausam ki khushbu mein aksar gham ki khushbu mil jati hai
aamon ke baghon mein kaise sawan sawan barsa aansu

apne bachpan ka qissa hai ek taswir banai us ne
mehndi wale hath rache the bich hatheli tapka aansu

ek ganw mein do baraaten shayad dulha badal gaya hai
meri aankh mein tera aansu teri aankh mein mera aansu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close