patton ka dukh khoj rahe ho udne wale panchhi mein aansu to pal-bhar ka musafir palkon ki is kashti mein har chehre mein tera chehra dhund ke tujh ko kho baithe ghar ka rasta bhul gae hum ghar aane ki jaldi mein ek ek ghar ke nam aur number puchh ke din bhi dub chala tha belon ke sae ke pichhe sham khadi thi khidki mein wo titli thi diye ki lau ko phul samajh kar baith gai jab chandi se baal nazar aae bachchi ko kanghi mein wo an-padh tha phir bhi us ne padhe likhe logon se kaha ek taswir kai khat bhi hain sahib aap ki raddi mein be-mausam aankhon ki badli hum ko nahin achchhi lagti hai dhuan dhuan ghar ho jata hai sawan ki gili lakdi mein aa mere sine par sar rakh apne kan se sun pagli mere bhagwan bol rahe hain man mandir ki ghanti mein