pas us but ke jo ghair aa ke koi baith gaya dard uttha ya mere jis mein ki ji baith gaya ishq-e-mizhgan mein hazaron ne gale katwae id-e-qurban mein jo wo le ke chhuri baith gaya jab raqib us ko batane lage arkan-e-namaz tham kar dil kabhi uttha main kabhi baith gaya ai jila-saz kabhi phir na safai hogi zang aaina-e-dil mein jo zara baith gaya dast-o-pa hote hain har war mein lakhon ke do nim hath chaurang pe mashq us ne jo ki baith gaya chashma-e-gor wo hai us se na nikla koi us kunen mein jo gira dubte hi baith gaya tham kyunkar nahin lete hain wo dil dekhen to tir-e-nala jo nishane pe koi baith gaya phut bahta jo ye ai 'shad' to behtar hota phir ye ubhrega phaphola jo abhi baith gaya