pashemaniyan hi pashemaniyan hain kisi mehrban ki mehrbaniyan hain main hun aur meri ye tanhaiyan hain bhari anjuman mein ye viraniyan hain muqaddar mera jaise dushwariyan hon mere waste kitni aasaniyan hain mere haal par hans raha hai zamana na jaane ye kis ki mehrbaniyan hain bhula kar tujhe ai dil-o-jaan ke malik pashemaniyan hi pashemaniyan hain kahan tera dar aur kahan mere sajde ye kaisi mere sath hairaniyan hain shikasta hai dil aur zamane ke gham hain mehrbaniyan hi mehrbaniyan hain musalsal pareshan mujhe dekh kar khud pareshaniyon ko pareshaniyan hain dil-o-jaan tasadduq kiye ja raha hun yahi meri danista nadaniyan hain isi dil ki khatir zamane mein 'ashraf' jidhar dekhiye fitna-samaniyan hain