gar ye himmat hai ki tufan ki zad par rahiye na-khudaon ke kamalat se bach kar rahiye ghar hai shishe ka to is daur mein jine ke liye sang-rezon ki qaba odh ke dar par rahiye dur bahti hui aakash ki ganga se pare aasman dhund na paen yun simat kar rahiye ye khabar hai ki koi barq giregi mujh par ye khabar sach hai to phir aaj ke din ghar rahiye mere dil mein utar aaya hai koi tufan sa zabt kahta hai ki idrak ke paikar rahiye qatl-gahon mein bhi sabqat tabhi di jaegi apni gardan pe salib apni utha kar rahiye tum ko haalat se shikwa na sahi phir bhi 'anis' apne jazbaat ki yalghaar se dar kar rahiye