pata hun sahl zist ke mushkil safar ko main kyon kar dua na dun but-e-diwana-gar ko main chhoti si apni baat to afsana ban gai jab bazm mein chhupa na saka chashm-e-tar ko main ek ek qadam pe jhukta raha hai sar-e-niyaz manzil hi apni samjha teri rahguzar ko main ai saghar-e-hayat teri talkhiyan qubul saqi ko sath paun jo lutf-e-nazar ko main dam bhar ruka jo ishq ki manzil mein kho gaya ek ek se puchhta hun ki jaun kidhar ko main phir be-khudi se hosh ki jaanib hun badh raha phir dhundhta hun aaj tumhaari nazar ko main yun chhedta hun piri mein qisse shabab ke phir dhundhta hun rakh mein goya sharar ko main aae na wo 'habib' na dil ki kali khili phir kyon na sham-e-gham kahun aisi sahar ko main