pata mila hai wo tha mera ham-safar bahut der baad ja kar kahan kahan se mili hai mujh ko khabar bahut der baad ja kar main muddaton saqf-e-zindagi par khade khade tum ko dekh aaya ye tum bhi kya ho ki aae mujh ko nazar bahut der baad ja kar meri tamanna hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraen ki dekhna hai ye raushni ka safar bahut der baad ja kar mujhe batao main kyun na is uthti dhul ke sath baith jaun mujhe khabar hai wo aaega baam par bahut der baad ja kar kharab mausam mein har shajar se larazte patton ne kya kaha tha ki phul aane lage hain ab shakh par bahut der baad ja kar qayamaton ki tarah guzarenge ye mah-o-sal hijraton ke tamam hoga judaiyon ka safar bahut der baad ja kar meri ghazal mein jab aae 'jafar' nazar unhen marke hunar ke hue mere mo'tarif sab ahl-e-nazar bahut der baad ja kar