kahin faza mein koi abr tairna to chahiye kahan hawaen kho gai hain sochna to chahiye ye aur baat bagh bagh kar gain tabiaten zara qarib se hansi ko dekhna to chahiye ye maslahat bhi kya ki dil ki wusaten hon munjamid ragon mein zindagi ka khun daudna to chahiye main in udasiyon ko in rafaqaton ko kya karun kiran ko jagna hawa ko bolna to chahiye unhen bhi nok-e-sang se zara hila ke dekh lun ki paniyon ka ye sukut todna to chahiye ye kya hua badha ke silsile mujhe bhula diya kahin mile to 'jafar' us se puchhna to chahiye