pata mujh ko hai pahle se use inkar karna hai tasalli ke liye mujh ko magar izhaar karna hai koi tawiz mil jae ki ye ichha kare puri bahut wo dur hai lekin mujhe didar karna hai irada kya hai meri jaan bahut nazdik baithi ho qatl karna hai ya hum do ko do se chaar karna hai nazar un se ye sunday ko baghiche mein mili aisi ki ab hafte ke har din ko mujhe itwar karna hai sitam karne ko baithi hai magar koi use kah do abhi kachcha hai dil is ko zara tayyar karna hai meri kashti ko lahren tod baithi hain to ab mujh ko kinare par khade ho kar samundar par karna hai