zist ki yun to sham tak pahunche ishq mein par salam tak pahunche guftugu jab hui nigahon mein wasl ke hum payam tak pahunche roz us ki gali mein thahren hum kya pata kab wo baam tak pahunche aakhirash wo hue pasheman hi log jo intiqam tak pahunche kyon na mil baith kar sulh kar len masala kyon nizam tak pahunche raaz-e-dil dost se bhi mat kahna kya pata ye tamam tak pahunche daur jab intikhab ka aaya hukmaran tab awam tak pahunche dard kuchh aur de zamana to shairi ek maqam tak pahunche