pata nahin ki kahan chal diye wo sare log hamare shahr mein the kitne pyare pyare log jinhen safina mayassar hua wo par lage khade hue hain bahut se magar kinare log charagh le ke nikalte nahin hain rahon mein samajh chuke hain hawaon ke sab ishaare log shikast khane ka jo ranj tha so apni jagah malal ye hai ki ab hausla bhi haare log ajib baat ki hain dhundte bayaban mein ghane darakht ka saya thakan ke mare log