nai maujon ke kitne silsile pani mein aate hain safine jab kabhi dariya ki mehmani mein aate hain ye mumkin hai tabiat sakht-koshi par hi mail ho suhulat chhod kar hum kyon pareshani mein aate hain yahan ab sai-e-askandar ki kaise dad di jae ki hum to dekh kar aaina hairani mein aate hain kahin dil ko hamare gham-pasandi ki na aadat ho maze us ko bhi aksar marsiya-khwani mein aate hain isi bais yahan mahaul wahshat-nak rahta hai darinde bhi bahut se shakl-e-insani mein aate hain