pata tha dur kar doge

pata tha dur kar doge
ghamon se chur kar doge

falak par jo sitare hain
unhen be-nur kar doge

mujhe itna rula kar tum
bahut mashhur kar doge

mohabbat zakhm gahra hai
use nasur kar doge

sanam zakhmon ko mahka kar
unhen pur-nur kar doge

agar zulfen gira doge
shab-e-dijur kar doge

inayat gar rahi yunhi
mujhe maghrur kar doge

tumhin lahra ke ye aanchal
faza mashur kar doge

hamein tum chhod kar 'saghar'
sitam bharpur kar doge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close