dua ke bas ka nahin bad-dua ke bas ka nahin

dua ke bas ka nahin bad-dua ke bas ka nahin
ek aisa banda hun main jo khuda ke bas ka nahin

wo sar patakti hai jhunjhlati hai mere upar
bas ek tinka hun main aur hawa ke bas ka nahin

hujum-e-chaara-garan dang hai tera bimar
kisi bhi zahr kisi bhi dawa ke bas ka nahin

barahna hona padega tujhe bhi mere sath
ki ek lams bhi band-e-qaba ke bas ka nahin

mujhe to chhod ki main ek jahan-e-digar hun
mera khayal bhi us be-wafa ke bas ka nahin

khamoshiyo! tumhein mera bayan hona hai
wo dukh hun main ki jo saut-o-sada ke bas ka nahin

yahi zamin mera dozakh yahi zamin jannat
mera mizaj saza-o-jaza ke bas ka nahin

mere wajud mein tu tha jahan khala hai ab
jo tere bas ka na tha ab khala ke bas ka nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close