patre dhare hain sar par dariya ke pat wale aate hain kis ada se is munh pe ghat wale chaska pada hai jab se shirin-labon ka us ke kaise lage rahen hain bose ki chat wale dariya pe tu nahane jaya na kar ki nadan wan ghat mein hain teri kai dhobi pat wale kuche mein tere zalim az-bahr-e-dad-khwahi ye zulm hai to lakhon aawenge ghat wale bazar-e-misr mein wo jin jin ko chhil gaya hai ek soch mein hain baithe ab tak wo hat wale dekhe na koi un ko ba-dida-e-haqarat khazposhon par giran hain albatta tat wale main ne raqib ko kal baaton mein khub kata chuken hain 'mushafi' kab hain wo jo kat wale