patta patta kyon hai dil afgar is gulzar ka

patta patta kyon hai dil afgar is gulzar ka
gul se gul barham hai kyon kya hai sabab takrar ka

sahme sahme se hain kyon sab ghuncha-o-gul-barg aaj
kis ne chhina hai gulon ke lab se haq izhaar ka

zahr ko di chhut kis ne phailne ki har taraf
khushbuon par kyon kada pahra hai pahre-dar ka

bulbulen hai be-suri khabren ye kis ne hain gadhi
kis ne kawwe ko diya hai martaba fankar ka

kaun hai jis ne andheron ko diya hai ikhtiyar
rok lo puri tarah se rasta anwar ka

gul khilane ka saliqa to use aaya nahin
nam gul hai rakh diya bas baghban ne khar ka

baj raha har bazm mein ab rag darbari faqat
kis ki jurat hai ki gae rag ab malhaar ka

kyon hamein un se tawaqqo' thi chaman-bandi ki uff
wo jinhen bas tajraba tha ghaarat-e-gulzar ka

ho rahi hai barish-e-ikram baatil par mudam
aur 'ata haq ko hua hai ab laqab ghaddar ka

dhans raha hai aur bhi ghurbat mein har ghurbat-zada
aur musalsal badh raha hai mal-o-zar zar-dar ka

khel chalta hai siyasat ka usi ke zar se jab
kyon na ho sarkar mein phir dakhl sahukar ka

kaam-dhande to pade hain sab ke sab thap aaj-kal
garm hai bazar bas nafrat ke karobar ka

sar jhukana mat kabhi zulm-o-sitam ke samne
hai 'sada' kandhe pe tere sar agar sardar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close