patte patte se naghma-sara kaun hai ai hawa tere andar chhupa kaun hai phul shabnam shafaq chandni kahkashan parda-e-husn se jhankta kaun hai maslahat-kosh wo to nahin tha magar nutq ko hath se rokta kaun hai itne badle hue hain ki hairat mein hun mere pichhe mein un se mila kaun hai na-umidi ne mujh ko muwahhid kiya ab khuda ke siwa aasra kaun hai ye 'tapish' ki ana hai nahin to yahan gham ko hans hans ke yun jhelta kaun hai