patthar bana kar arsh se phenka gaya tha ek main shayad khuda se pahle hi puja gaya tha ek main takhliq-kari mein tujhe hasil mahaarat hai magar kis inhimak-o-shauq se socha gaya tha ek main tifli se piri tak mere ahwal sun lena kabhi waqt-e-wiladat hi bahut kosa gaya tha ek main naqsh-e-qadam bhi aap ka ek sanp ka phan hi laga saya-numa khanjar se hi mara gaya tha ek main din sa-re-ga-ma mein kata shab pa-dha-ni-sa mein kati nikli surili ek wo kan aashna tha ek main kashkol bhi ban jaegi ek roz apni khopadi mitti ke bartan ki tarah barta gaya tha ek main gaek hua shair hua aashiq hua sufi hua diwane-pan ki had na thi kya kya bana tha ek main kya tum hi 'kawish' ho miyan kuchh eatibar aata nahin allah-miyan hi ek hain kahte ho kyun tha ek main