khanuman-soz ma-siwa hun main apne sae se bhi juda hun main ghaur har chand kar raha hun main par ye khulta nahin ki kya hun main nahin is rah mein dusre ki khapat aap hi apna rahnuma hun main wo agar aa milen to kya hai ajab gham se kuchh aur ho gaya hun main dil hai shauq-e-gunah se labrez dekhne hi ka parsa hun main kyun na ho dar ka wo mustaujib jo ki banda kahe khuda hun main soz-e-dil kar chuka hai jism ko khak ab tera muntazir saba hun main har lab-e-zakhm-e-tan se main dam-e-qatl kahta qatil ko marhaba hun main un sa maghrur aur pursish-e-haal khwab hai ye jo dekhta hun main mujh sa hoga na sakht-jaan koi ki shab-e-hijr mein jiya hun main meri pursish jo ki kisi ne to wo bole han surat-ashna hun main shaareh-e-haal-e-dil samajh mujh ko dard hi dard ho gaya hun main aankh tak dalta nahin gahak kuchh ajab jins-e-na-rawa hun main roz-o-shab hai khayal-e-kakul-o-zulf kin balaon mein phans raha hun main misl-e-nashtar hain khar-e-sahrai aur wahshat barhana-pa hun main kal jo main ne kaha ki o be-mehr dard-e-furqat se mar raha hun main hans ke bole ye sab banawat hai aap ko khub jaanta hun main dikhne kya zakhm-e-dil lage 'majruh' hae hae jo kar raha hun main