patthar-dil ko mom banaya kafir but ko ram kiya kaam to aakhir itna tu ne aaj dil-e-nakaam kiya ek ne raaz-e-ishq chhupaya ek ne tasht-az-baam kiya zabt ne parda-dari ki aur ashkon ne badnam kiya sikka wafa ka hum ne bithaya aap ne jaur-e-am kiya hum ne apna kaam kiya aur aap ne apna kaam kiya umr guzari rote-dhote aahen bhar matam karte aap pe marne walon ne kab chain kiya aaram kiya tham liya us shokh ka daman girte girte mutthi mein sadqe main is laghzish par is laghzish ne kya kaam kiya bhul na jae rah 'mubarak' un logon ki rah chala jin par mere maula tu ne fazl kiya inam kiya