mahrumiyon ka dil par itna hai kuchh asar sa chahat ke nam se bhi lagne laga hai dar sa ek aah mein dhali hai rudad-e-zindagani umr-e-tawil ka hai afsana mukhtasar sa rukhsat hua hai dil se har shauq rafta rafta ye shahr-e-arzu bhi banta chala khandar sa aata hai dhyan un ka yun dasht-e-zindagi mein zulmat mein shab ki jaise ho jalwa-e-sahar sa aasudgi-e-gham ne kitna surur bakhsha apne wajud se bhi rahta hun be-khabar sa andaz-e-pursish-e-gham tha dil-fareb kitna wo dushman-e-tamanna lagta tha chaaragar sa ashkon ne zabt-e-gham ki rakkhi hai laj har dam sau bar ghir ke aaya baadal magar na barsa rah-e-hayat mein hum tanha nahin 'mubarak' un ka khayal har dam rahta hai ham-safar sa